backyard
kisī ne rakkhā thā room cōler kisī ne washing machine rakkhī
kisī ne puḳhta ahāte meñ kuchh bachā ke kachchī zamīn rakkhī
purānī mezeñ vo ek kursī ki jis kā TuuTā huā thā baazū
ka.ī khilaune jo dhuup bārish ko ab muyassar the fursatoñ se
to kitne bachchoñ kā bachpanā bhī purānā ho kar vahīñ paḌā thā
kahīñ to gamloñ kī kokh suunī
duhā.ī detī sunā.ī dī thī
kahīñ daraḳhtoñ kī chhāñv chhat se mujhe to lipTī dikhā.ī dī thī
jo pichhlī dīvār se laraz ke vo chārpā.ī lagī khaḌī thī
vo yūñhī sardī kī dhuup aane talak yahāñ bas khaḌī rahegī
ka.ī gharoñ kī chhatoñ pe maazī bhulā ke baiThā thā haal apnā
bahut zarūrī hai ik ahāta ki ham bhī rakh deñ malāl apnā
kisi ne rakkha tha room cooler kisi ne washing machine rakkhi
kisi ne puKHta ahate mein kuchh bacha ke kachchi zamin rakkhi
purani mezen wo ek kursi ki jis ka TuTa hua tha bazu
kai khilaune jo dhup barish ko ab muyassar the fursaton se
to kitne bachchon ka bachpana bhi purana ho kar wahin paDa tha
kahin to gamlon ki kokh suni
duhai deti sunai di thi
kahin daraKHton ki chhanw chhat se mujhe to lipTi dikhai di thi
jo pichhli diwar se laraz ke wo chaarpai lagi khaDi thi
wo yunhi sardi ki dhup aane talak yahan bas khaDi rahegi
kai gharon ki chhaton pe mazi bhula ke baiTha tha haal apna
bahut zaruri hai ek ahata ki hum bhi rakh den malal apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.