bad-guman
tumhāre gale meñ
na.e ḳhvāb ke motiyoñ kī sunahrī sī maalā
hamārī nahīñ hai
samundar vo jis par
tumhāre qadam kashtiyāñ hoñ
hameñ sirf dars-e-fanā hai
hamāre liye to
kisī ajnabī sī sadā ke bhañvar se nikalnā bhī mumkin nahīñ hai
hameñ āshnā sī nigāhoñ se
sabze meñ lipTī havā ne bulāyā to
ham gir paḌeñge
ḳhizāñ ke shajar se
koī āḳhirī phuul ban kar
hamāre har ik ā.īne kā to sheva hai bas
TūTte dil ke ehsās se TuuT jaanā
qayāfa lagānā
bhalā kaun sī aañkh namkīn se jhuuT ke pāniyoñ se bharī hai
bhalā kaun se hoñT shīrīniyāñ bāñTte haiñ
shurūāt-e-chāhat meñ aisā qayāfa lagānā nahīñ jānte ham
tumhaare gale mein
nae KHwab ke motiyon ki sunahri si mala
hamari nahin hai
samundar wo jis par
tumhaare qadam kashtiyan hon
hamein sirf dars-e-fana hai
hamare liye to
kisi ajnabi si sada ke bhanwar se nikalna bhi mumkin nahin hai
hamein aashna si nigahon se
sabze mein lipTi hawa ne bulaya to
hum gir paDenge
KHizan ke shajar se
koi aaKHiri phul ban kar
hamare har ek aaine ka to shewa hai bas
TuTte dil ke ehsas se TuT jaana
qayafa lagana
bhala kaun si aankh namkin se jhuT ke paniyon se bhari hai
bhala kaun se honT shiriniyan banTte hain
shuruat-e-chahat mein aisa qayafa lagana nahin jaante hum
- Book : Pakistani Adab (Pg. 162)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.