Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bad-tamiz

Hamida Shaheen

bad-tamiz

Hamida Shaheen

MORE BYHamida Shaheen

    kyā tujhe ilm hai

    barf-bārī huī hai

    shumālī ilāqoñ meñ darja-e-harārat nafī ka.ī sīḌhiyāñ chaḌh chukā

    kyā tujhe ilm hai

    gas kamyāb hai

    aur bijlī qillat ne sarmā ke din kitne yaḳh kar diye

    par tujhe kyā

    ki apnī jhuggī ke dar par baḌī be-niyāzī se pasrī huī

    muft kūḌā-karkaT jalātī huī

    ik bhaḌaktā bhabhaktā alaav banā.e hue

    zindagī-baḳhsh hiddat sāmāñ kiye

    gande naale se uThtī huī dhund lūTtī hai maza

    maiñ ne dekhā abhī

    qīmtī jacketoñ aur coatoñ meñ malfūf kuchh be-kasoñ ko ThiThurte hue

    aur tujhe un pe hañste hue

    kya tujhe ilm hai

    barf-bari hui hai

    shumali ilaqon mein darja-e-hararat nafi ki kai siDhiyan chaDh chuka

    kya tujhe ilm hai

    gas kamyab hai

    aur bijli ki qillat ne sarma ke din kitne yaKH kar diye

    par tujhe kya

    ki tu apni jhuggi ke dar par baDi be-niyazi se pasri hui

    muft ka kuDa-karkaT jalati hui

    ek bhaDakta bhabhakta alaw banae hue

    zindagi-baKHsh hiddat ka saman kiye

    gande nale se uThti hui dhund ka luTti hai maza

    main ne dekha abhi

    qimti jacketon aur coaton mein malfuf kuchh be-kason ko ThiThurte hue

    aur tujhe un pe hanste hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now