baDa aadmi
jis ko duniyā meñ sab log achchhā kaheñ
jis ko īmān-dār aur sachchā kaheñ
jis ko nafrat ho har ik bure kaam se
jis ko raġhbat ho ta.alīm ke naam se
jo sahārā ho kamzor-o-majbūr kā
jis ke siine meñ ho dard mazdūr kā
jo paḌosī kā hamdard-o-ġham-ḳhvār ho
zulm ke haq meñ jo tez talvār ho
jo musībat sahe dūsre ke liye
aur haq baat be-ḳhauf ho kar kahe
jo burā.ī ke badle bhalā.ī kare
bhūle bhaTkoñ kī jo rahnumā.ī kare
jis pe apne parā.e bharosā kareñ
jis ke aḳhlāq kā log charchā kareñ
jo kisī se agar koī va.ada kare
vaqt par apne va.ade ko puurā kare
gulshan-e-amn se jis kī hai dostī
dar-haqīqat vahī hai baḌā aadmī
jis ko duniya mein sab log achchha kahen
jis ko iman-dar aur sachcha kahen
jis ko nafrat ho har ek bure kaam se
jis ko raghbat ho talim ke nam se
jo sahaara ho kamzor-o-majbur ka
jis ke sine mein ho dard mazdur ka
jo paDosi ka hamdard-o-gham-KHwar ho
zulm ke haq mein jo tez talwar ho
jo musibat sahe dusre ke liye
aur haq baat be-KHauf ho kar kahe
jo burai ke badle bhalai kare
bhule bhaTkon ki jo rahnumai kare
jis pe apne parae bharosa karen
jis ke aKHlaq ka log charcha karen
jo kisi se agar koi wada kare
waqt par apne wade ko pura kare
gulshan-e-amn se jis ki hai dosti
dar-haqiqat wahi hai baDa aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.