badan ke nuqrai fanus se bahti
būḌhī raushnī ke piile nāḳhun
vo niile ḳhuun ke saath nigal ga.ī
raat bhar ġham kī kaalī chāñdnī
us ke nathnoñ meñ jamī
kokīn kī safedī chāTtī rahī
aur chamḌe ke dāñtoñ se vo
vahshat kā badan kāTtī rahī
barf kī rānoñ se uThtī kachchī rutūbat
zaḳhmī tanhā.ī ke bad-sūrat ḳhudā se
marmarīñ aziyyat māñgtī thī
pītal ke ashtray meñ paḌe
hoñToñ kī hiddat se uble
murda sāñsoñ meñ lipTe cigarette
jin se bahtī huī velveti badbū
raakh ke surma.ī lāshoñ par bain kartī
jis kī āñkhoñ se nikaltī kāñch kī thakan
ram kī botaloñ meñ uñgliyāñ chubhotī
TuuTe hue añdhere kī chādar par so ga.iiñ
sadiyoñ kī marī huī silvaTeñ
aur un se phūTtī vahshat kī shoḳh kirneñ
chīḳhtī kursī kī pusht se chipke
kāsnī ragoñ meñ uljhe
himeros ke portrait ko lams ālūd kartī rahīñ
buDhi raushni ke pile naKHun
wo nile KHun ke sath nigal gai
raat bhar gham ki kali chandni
us ke nathnon mein jami
kokin ki safedi chaTti rahi
aur chamDe ke danton se wo
wahshat ka badan kaTti rahi
barf ki ranon se uThti kachchi rutubat
zaKHmi tanhai ke bad-surat KHuda se
marmarin aziyyat mangti thi
pital ke ashtray mein paDe
honTon ki hiddat se uble
murda sanson mein lipTe cigarette
jin se bahti hui welweti badbu
rakh ke surmai lashon par bain karti
jis ki aankhon se nikalti kanch ki thakan
ram ki botalon mein ungliyan chubhoti
TuTe hue andhere ki chadar par so gain
sadiyon ki mari hui silwaTen
aur un se phuTti wahshat ki shoKH kirnen
chiKHti kursi ki pusht se chipke
kasni ragon mein uljhe
himeros ke portrait ko lams aalud karti rahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.