makāñ lā-makāñ kī 'ajab dāstāñ hai
zamīn-o-zamāñ se pare bhī jahāñ hai
jahānoñ se aage jahāñ mil rahe haiñ
jahāñ zindagī ke nishāñ mil rahe haiñ
jahāñ hūr-o-ġhilmāñ haiñ bāġh-e-adan hai
vahāñ ik badan māvarā-e-badan hai
badan āsmāñ hai badan hī zamīñ hai
badan jo nahīñ hai to kuchh bhī nahīñ hai
badan zindagī hai badan sarḳhushī hai
badan rāstī hai badan bandagī hai
badan chāñd sūraj badan kahkashāñ hai
badan ye jahāñ hai badan vo jahāñ hai
badan hai samundar badan be-karāñ hai
badan bijliyoñ kī chamak meñ nihāñ hai
badan rang-o-bū hai chaman-dar-chaman hai
elora ajantā ke fan meñ badan hai
badan mausamoñ kā nayā bāñkpan hai
badan mai-kada hai badan hī nasha hai
badan kī mahak se mo'attar fazā hai
badan ibtidā hai badan intihā hai
badan irtiqā hai badan meñ ḳhudā hai
badan jo nahīñ hai ḳhalā hī nahīñ hai
sadā be-sadā hai fanā hī fanā hai
makan la-makan ki 'ajab dastan hai
zamin-o-zaman se pare bhi jahan hai
jahanon se aage jahan mil rahe hain
jahan zindagi ke nishan mil rahe hain
jahan hur-o-ghilman hain bagh-e-adan hai
wahan ek badan mawara-e-badan hai
badan aasman hai badan hi zamin hai
badan jo nahin hai to kuchh bhi nahin hai
badan zindagi hai badan sarKHushi hai
badan rasti hai badan bandagi hai
badan chand suraj badan kahkashan hai
badan ye jahan hai badan wo jahan hai
badan hai samundar badan be-karan hai
badan bijliyon ki chamak mein nihan hai
badan rang-o-bu hai chaman-dar-chaman hai
elora ajanta ke fan mein badan hai
badan mausamon ka naya bankpan hai
badan mai-kada hai badan hi nasha hai
badan ki mahak se mo'attar faza hai
badan ibtida hai badan intiha hai
badan irtiqa hai badan mein KHuda hai
badan jo nahin hai KHala hi nahin hai
sada be-sada hai fana hi fana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.