baghawat
ġharībī tang-dastī meñ qanā.at hai baġhāvat hai
na daulat hai na rāhat hai na izzat hai baġhāvat hai
alam hai yaas hai ġham hai musībat hai baġhāvat hai
akelī jaan hai sadma ba-kasrat hai baġhāvat hai
kisī se baat karnā bhī musībat hai baġhāvat hai
zamāne se agar ham ko shikāyat hai baġhāvat hai
ravāñ āñkhoñ se ashk-e-ġham ba-kasrat hai baġhāvat hai
numāyāñ ḳhūn-e-dil kī hālat hai baġhāvat hai
balā hai kyā musībat hai baġhāvat hai baġhāvat hai
zabāñ par aaj duniyā kī hikāyat hai baġhāvat hai
ma.āz-allāh kyā ham par qayāmat hai baġhāvat hai
har ik zarra ye kahtā hai baġhāvat hai baġhāvat hai
ajab daur-e-musībat hai baġhāvat hai baġhāvat hai
jahāñ meñ har taraf apnī ye shohrat hai baġhāvat hai
ajab duniyā kī hālat hai baġhāvat hai baġhāvat hai
zamāne ko na jaane kyoñ shikāyat hai baġhāvat hai
hamārī jaan tak nazr-e-ināyat hai baġhāvat hai
vafādārī pe dhabba hai ye tohmat hai baġhāvat hai
gharibi tang-dasti mein qanaat hai baghawat hai
na daulat hai na rahat hai na izzat hai baghawat hai
alam hai yas hai gham hai musibat hai baghawat hai
akeli jaan hai sadma ba-kasrat hai baghawat hai
kisi se baat karna bhi musibat hai baghawat hai
zamane se agar hum ko shikayat hai baghawat hai
rawan aankhon se ashk-e-gham ba-kasrat hai baghawat hai
numayan KHun-e-dil ki haalat hai baghawat hai
bala hai kya musibat hai baghawat hai baghawat hai
zaban par aaj duniya ki hikayat hai baghawat hai
maaz-allah kya hum par qayamat hai baghawat hai
har ek zarra ye kahta hai baghawat hai baghawat hai
ajab daur-e-musibat hai baghawat hai baghawat hai
jahan mein har taraf apni ye shohrat hai baghawat hai
ajab duniya ki haalat hai baghawat hai baghawat hai
zamane ko na jaane kyon shikayat hai baghawat hai
hamari jaan tak nazr-e-inayat hai baghawat hai
wafadari pe dhabba hai ye tohmat hai baghawat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.