bahana
suno
tum kyuuñ nahīñ kahte
mire aañsū tumheñ taklīf dete haiñ
mire dukh sun ke tum bhī bebasī mahsūs karte ho
merī āvāz kī larzish tumheñ bhī ḳhuuñ rulātī hai
mere lahje kī namnākī tumheñ bechain rakhtī hai
mujhe ma.alūm hai lekin ye sab tum kah nahīñ sakte
usī lamhe tumheñ yaad aane lagte haiñ
ka.ī behad zarūrī kaam aur phir tum
achānak munqata.a karte ho telephone kī line
phir ek massage meñ likhte ho
mujhe afsos hai package achānak ḳhatm hone par
to phir kal baat karte haiñ
magar maiñ jāntī huuñ is bahāne ko
mujhe ma.alūm hai jānāñ
mire aañsū tumheñ taklīf dete haiñ
suno
tum kyun nahin kahte
mere aansu tumhein taklif dete hain
mere dukh sun ke tum bhi bebasi mahsus karte ho
meri aawaz ki larzish tumhein bhi KHun rulati hai
mere lahje ki namnaki tumhein bechain rakhti hai
mujhe malum hai lekin ye sab tum kah nahin sakte
usi lamhe tumhein yaad aane lagte hain
kai behad zaruri kaam aur phir tum
achanak munqata karte ho telephone ki line
phir ek massage mein likhte ho
mujhe afsos hai package achanak KHatm hone par
to phir kal baat karte hain
magar main jaanti hun is bahane ko
mujhe malum hai jaanan
mere aansu tumhein taklif dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.