bahaar ka mausam
na garmiyoñ kā zor hai na sardiyoñ kī maar hai
na dhuup tan pe baar hai na ThanD nāgavār hai
havā bhī ḳhush-gavār hai na garm hai na sard hai
na bijliyāñ na āñdhiyāñ na abr hai na gard hai
haiñ sabza-zār in dinoñ pahāḌ dasht aur ban
hai sach to yuuñ bahār par hai āj-kal chaman chaman
haiñ jañgaloñ meñ sabz sabz khet lahlahā rahe
ajab adā se jhuum jhuum kar haiñ dil lubhā rahe
fazā meñ dilkashī hī kuchh ye aa ga.ī hai ab na.ī
nazar paḌī jo khet par to kheltī chalī ga.ī
ḳhizāñ ne peḌoñ ke libās pheñke the utaar kar
dulhan banā diyā unheñ bahār ne sañvār kar
chaman ke phuul dekh kar hamārī aql dañg hai
banafsha.ī safed surḳh zard un kā rañg hai
diloñ meñ hai kuchh āj-kal umañg sī bharī huī
masarratoñ ke josh se kalī kalī khilī huī
nikhar ga.iiñ mahāvaToñ kī bārishoñ se pattiyāñ
nithar nithar ke saaf ho ga.iiñ tamām naddiyāñ
haiñ peḌoñ meñ chhupe hue parind chahchahā rahe
ḳhudā kī shaan dekh kar ḳhushī se haiñ vo gā rahe
ye lutf dekh dekh kar zabāñ pe baar baar hai
ye mausam-e-bahār hai ye mausam-e-bahār hai
na garmiyon ka zor hai na sardiyon ki mar hai
na dhup tan pe bar hai na ThanD nagawar hai
hawa bhi KHush-gawar hai na garm hai na sard hai
na bijliyan na aandhiyan na abr hai na gard hai
hain sabza-zar in dinon pahaD dasht aur ban
hai sach to yun bahaar par hai aaj-kal chaman chaman
hain jangalon mein sabz sabz khet lahlaha rahe
ajab ada se jhum jhum kar hain dil lubha rahe
faza mein dilkashi hi kuchh ye aa gai hai ab nai
nazar paDi jo khet par to khelti chali gai
KHizan ne peDon ke libas phenke the utar kar
dulhan bana diya unhen bahaar ne sanwar kar
chaman ke phul dekh kar hamari aql dang hai
banafshai safed surKH zard un ka rang hai
dilon mein hai kuchh aaj-kal umang si bhari hui
masarraton ke josh se kali kali khili hui
nikhar gain mahawaTon ki barishon se pattiyan
nithar nithar ke saf ho gain tamam naddiyan
hain peDon mein chhupe hue parind chahchaha rahe
KHuda ki shan dekh kar KHushi se hain wo ga rahe
ye lutf dekh dekh kar zaban pe bar bar hai
ye mausam-e-bahaar hai ye mausam-e-bahaar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.