bahaar ka qarz
dahaktī aag meñ pighal ke
qatra qatra
gir rahī haiñ chūḌiyāñ
ye jashn-e-ātishīñ hai kyā bahār kā
ki jis kī dard-nāk chīḳh se laraz rahā hai āsmāñ
tamām rañg-o-bū ke silsile
ye khet phuul Dāliyāñ
jhulas jhulas ke sab hue barahna aur be-zabāñ
ufuq pe dard se likhe hurūf
kab se haiñ lahū meñ yuuñ hī tar-ba-tar
ye hādsāt nau-ba-nau
kabhī na ruk sakeñ agar
to vaqfa hī koī mile qarār kā
ye tai kareñ
vo kaun hai chukā.egā jo qarz us bahār kā
dahakti aag mein pighal ke
qatra qatra
gir rahi hain chuDiyan
ye jashn-e-atishin hai kya bahaar ka
ki jis ki dard-nak chiKH se laraz raha hai aasman
tamam rang-o-bu ke silsile
ye khet phul Daliyan
jhulas jhulas ke sab hue barahna aur be-zaban
ufuq pe dard se likhe huruf
kab se hain lahu mein yun hi tar-ba-tar
ye hadsat nau-ba-nau
kabhi na ruk saken agar
to waqfa hi koi mile qarar ka
ye tai karen
wo kaun hai chukaega jo qarz us bahaar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.