Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar qarantina mein hai

Mahjabeen Asif

bahaar qarantina mein hai

Mahjabeen Asif

MORE BYMahjabeen Asif

    zarūratoñ bīmār fazā se kah do

    abhī ḳhushbū ko gulāb

    rangoñ ko ḳhvāb

    ragoñ meñ jame sayyāl ko

    lahū likhnā hai

    be-kaif-o-sākit manzar ko

    ḳhush ḳhisāl likhnā hai

    in chiḌiyoñ ko lauTne do

    fazā ke habs meñ jo mahsūr haiñ

    zarūratoñ ko surḳh gulāl likhnā hai

    is kurlātī ḳhāmoshī se

    bahte sur nikalne do

    tanhā.ī ko jashn-e-tarab

    dost ko yaad likhnā hai

    ik lamha intizār mujhe mohabbatoñ taaza nazm

    likhnī hai

    abhī to

    bahār qarantīna meñ hai

    zaruraton bimar faza se kah do

    abhi KHushbu ko gulab

    rangon ko KHwab

    ragon mein jame sayyal ko

    lahu likhna hai

    be-kaif-o-sakit manzar ko

    KHush KHisal likhna hai

    in chiDiyon ko lauTne do

    faza ke habs mein jo mahsur hain

    zaruraton ko surKH gulal likhna hai

    is kurlati KHamoshi se

    bahte sur nikalne do

    tanhai ko jashn-e-tarab

    dost ko yaad likhna hai

    ek lamha intizar mujhe mohabbaton ki taza nazm

    likhni hai

    abhi to

    bahaar qarantina mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now