bahut masruf rahta hun
kisī uljhī huī gutthī
ko suljhāne meñ
bahut masrūf rahtā huuñ
magar kartā huuñ bas kār-e-ziyāñ hī maiñ
maiñ kaise dostoñ ko shādmāñ rakkhūñ
aur un ke hukm kī ta.amīl meñ har lamha
kaise munhamik rakkhūñ maiñ apne aap ko
fulāñ tārīḳh ko taqrīb hai
kis ke yahāñ yaum-e-vilādat kī
fulāñ kī qabr par jaanā hai paḌhne
fātiha kis din
mire hamrāh rahtī hai koī uljhī huī gutthī
hamesha sochtā rahtā huuñ is tarah
maiñ ḳhud se munharif ho kar
ki ḳhud apnā bhī maiñ yaum-e-vilādat bhuul jaatā huuñ
saḳhāvat kī tag-o-dau meñ
ye aksar bhuul jaatā huuñ
ki jaanā hai ḳhud apnī qabr par bhī fātiha paḌhne
kisi uljhi hui gutthi
ko suljhane mein
bahut masruf rahta hun
magar karta hun bas kar-e-ziyan hi main
main kaise doston ko shadman rakkhun
aur un ke hukm ki tamil mein har lamha
kaise munhamik rakkhun main apne aap ko
fulan tariKH ko taqrib hai
kis ke yahan yaum-e-wiladat ki
fulan ki qabr par jaana hai paDhne
fatiha kis din
mere hamrah rahti hai koi uljhi hui gutthi
hamesha sochta rahta hun is tarah
main KHud se munharif ho kar
ki KHud apna bhi main yaum-e-wiladat bhul jata hun
saKHawat ki tag-o-dau mein
ye aksar bhul jata hun
ki jaana hai KHud apni qabr par bhi fatiha paDhne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.