ban se ban tak
achchhī siitā
ban se lauT aa.ī ho lekin ghar se bhī vāpas jaanā hai
kahnā maano dhartī-māñ kā
chaah baḌā mahñgā saudā hai
vo bhī raam kī jis ne rāvan ko jiitā hai
dariyā apnī hī maujoñ se ho jaatā hai maġhlūb aksar
andar kā tūfān baḌā hai
sahrā meñ khāte haiñ bagūle kyā kyā chakkar
had se ziyāda jī kā umaDnā kab achchhā hai
zaḳhmoñ se haiñ kitnā chuur garajte bādal
kitnā bhayānak ye sho.ala hai
tum par bhī chamkī hai bijlī raam kā dard umaD aaya hai
chaah baḌā mahñgā saudā hai
kahnā maano dhartī-māñ kā
rāj-mahal kā ūñchā phāTak band huā to band huā
achchhi sita
ban se lauT aai ho lekin ghar se bhi wapas jaana hai
kahna mano dharti-man ka
chah baDa mahnga sauda hai
wo bhi ram ki jis ne rawan ko jita hai
dariya apni hi maujon se ho jata hai maghlub aksar
andar ka tufan baDa hai
sahra mein khate hain bagule kya kya chakkar
had se ziyaada ji ka umaDna kab achchha hai
zaKHmon se hain kitna chur garajte baadal
kitna bhayanak ye shoala hai
tum par bhi chamki hai bijli ram ka dard umaD aaya hai
chah baDa mahnga sauda hai
kahna mano dharti-man ka
raj-mahal ka uncha phaTak band hua to band hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.