band ho jae meri aankh agar
band ho jae meri aankh agar
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
band ho jaa.e mirī aañkh agar
is darīche ko khulā rahne do
ye darīcha hai ufuq ā.īna
is meñ raqsāñ haiñ jahāñ ke manzar
is darīche ko khulā rahne do
is darīche se ubhartī dekhī
chāñd kī shaam
sitāroñ kī sahar
is darīche ko khulā rahne do
is darīche se kiye haiñ maiñ ne
ka.ī be-chashm nazāre
ka.ī be-rāh safar
is darīche ko khulā rahne do
ye darīcha hai mirī shauq kā chāk-e-dāmāñ
mirī badnām nigāheñ, mirī rusvā āñkheñ
ye darīcha hai mirī tishnā-nazar
band ho jaa.e mirī aañkh agar
is darīche ko khulā rahne do
band ho jae meri aankh agar
is dariche ko khula rahne do
ye daricha hai ufuq aaina
is mein raqsan hain jahan ke manzar
is dariche ko khula rahne do
is dariche se ubharti dekhi
chand ki sham
sitaron ki sahar
is dariche ko khula rahne do
is dariche se kiye hain main ne
kai be-chashm nazare
kai be-rah safar
is dariche ko khula rahne do
ye daricha hai meri shauq ka chaak-e-daman
meri badnam nigahen, meri ruswa aankhen
ye daricha hai meri tishna-nazar
band ho jae meri aankh agar
is dariche ko khula rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.