bandhan
daraḳht din raat kāñpte haiñ
parind kitne Dare hue haiñ
falak pe taare zamīñ pe jugnū
gharoñ ke andar chhupe ḳhazāne
kaTe phaTe sab badan purāne
qadīm chiknī tavīl Dorī meñ bañdh ga.e haiñ
kasīf Dar kī ġhalīz muTThī meñ aa ga.e haiñ
kahāñ ga.e vo diloñ ke bandhan
gulāb-hoñToñ kī narm qauseñ
zamīñ jo rākhī sī ban ke
sūraj ke haath par muskurā rahī thī
kahāñ ga.ī vo havā jo peñgeñ baḌhā rahī thī
vo sabz ḳhushbū jo band naafe
galī galī phir ke bāñTtī thī
vo haath thāme
nahīf jismoñ kī ek lambī qatār jis meñ
kahīñ bhī koī taḌaḳh nahīñ thī
ye kaun haiñ ham
jo sahme peḌoñ
Dare parindoñ larazte tāroñ
se bañdh ga.e haiñ
ḳhud apne sāyoñ se Dar ga.e haiñ
daraKHt din raat kanpte hain
parind kitne Dare hue hain
falak pe tare zamin pe jugnu
gharon ke andar chhupe KHazane
kaTe phaTe sab badan purane
qadim chikni tawil Dori mein bandh gae hain
kasif Dar ki ghaliz muTThi mein aa gae hain
kahan gae wo dilon ke bandhan
gulab-honTon ki narm qausen
zamin jo rakhi si ban ke
suraj ke hath par muskura rahi thi
kahan gai wo hawa jo pengen baDha rahi thi
wo sabz KHushbu jo band nafe
gali gali phir ke banTti thi
wo hath thame
nahif jismon ki ek lambi qatar jis mein
kahin bhi koi taDaKH nahin thi
ye kaun hain hum
jo sahme peDon
Dare parindon larazte taron
se bandh gae hain
KHud apne sayon se Dar gae hain
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 73)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.