bangal ki raqqasa
nāchiye nāchiye paa.el ke baġhair
jism uryāñ hī rahe
sho.ala-afshāñ hī rahe
nāchiye nāchiye
bhuuk aur maut kā raqs
mere bañgāl kā raqs
nāchiye sochtī kyā haiñ uThiye
aap bañgāl se kab aa.ī haiñ
naġhma o raqs kā paikar ban kar
jism ko bechiye patthar ban kar
nāchiye nāchiye
maiñ pāgal huuñ
yūñhī bakā kartā huuñ
nachiye nachiye pael ke baghair
jism uryan hi rahe
shoala-afshan hi rahe
nachiye nachiye
bhuk aur maut ka raqs
mere bangal ka raqs
nachiye sochti kya hain uThiye
aap bangal se kab aai hain
naghma o raqs ka paikar ban kar
jism ko bechiye patthar ban kar
nachiye nachiye
main pagal hun
yunhi baka karta hun
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 106)
- Author : Roohi Kunjahi
- Publication : Alhamd Publications (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.