banjar KHayali ke din
ruuh bechain hai
chashm-e-pur-āb se bārishoñ kī tavaqqo.a bhī be-kār hai
lafz-gar sā.ateñ shā.irī ke tarannum se sarshār
to haiñ magar
nazm ke saat sur
merī kohna samā.at se Takrā ke
vāpas kahīñ jā chuke haiñ
mirī zaat ḳhāmoshiyoñ ke safar par ravāna hai
aur maiñ purāne gharoñ ke jharokoñ se
ta.abīr ke silsile joḌtī phir rahī huuñ
sabhī koshisheñ mustaqil be-natīja
naqāhat bharī zindagī se murassā
shafā.at kī tālib baġhāvat kī rasiyā
mere zā.iche
meñ likhī jā chukī haiñ
alif laam rā ke suḳhnavar mujhe
koī rasta dikhā
tā ki maiñ bhī pur-asrār vaqtoñ kī kunDalī
nikālūñ sarakte pighalte hue barr-e-āzam ke naqshe paḌhūñ
nīlgūñ āsmānoñ meñ bikhre hue bādaloñ ko nigalte hue mushtarī ke kisī chāñd par āftābī-sifat zā.icha likh sakūñ
raat ke ba.ad din to yaqīnī hai par aañkh kā kyā bharosa khule na khule vaqt kī Dor se bañdh ke chaltā huā ek saaya
ye jīvan mile na mile aur dhartī pe ḳhvāboñ kā sabza uge na uge
ai mere rāzdāñ merī chādar ki jis se hai lipTī huī ye ḳhizāñ
mere hāthoñ kī mehñdī meñ Duubī huī ye lakīr-e-nihāñ jis meñ aglī sadī kī haiñ ra.anā.iyāñ kho nā jaa.eñ kahīñ
mere hisse meñ likkhī huī āgahī so nā jaa.e kahīñ
ādam-e-avvalīñ kī tarah mujh ko asmā sikhā koī rasta dikhā
ruh bechain hai
chashm-e-pur-ab se barishon ki tawaqqoa bhi be-kar hai
lafz-gar saaten shairi ke tarannum se sarshaar
to hain magar
nazm ke sat sur
meri kohna samaat se Takra ke
wapas kahin ja chuke hain
meri zat KHamoshiyon ke safar par rawana hai
aur main purane gharon ke jharokon se
tabir ke silsile joDti phir rahi hun
sabhi koshishen mustaqil be-natija
naqahat bhari zindagi se murassa
shafaat ki talib baghawat ki rasiya
mere zaiche
mein likhi ja chuki hain
alif lam ra ke suKHnawar mujhe
koi rasta dikha
ta ki main bhi pur-asrar waqton ki kunDali
nikalun sarakte pighalte hue barr-e-azam ke naqshe paDhun
nilgun aasmanon mein bikhre hue baadalon ko nigalte hue mushtari ke kisi chand par aaftabi-sifat zaicha likh sakun
raat ke baad din to yaqini hai par aankh ka kya bharosa khule na khule waqt ki Dor se bandh ke chalta hua ek saya
ye jiwan mile na mile aur dharti pe KHwabon ka sabza uge na uge
ai mere raazdan meri chadar ki jis se hai lipTi hui ye KHizan
mere hathon ki mehndi mein Dubi hui ye lakir-e-nihan jis mein agli sadi ki hain ranaiyan kho na jaen kahin
mere hisse mein likkhi hui aagahi so na jae kahin
aadam-e-awwalin ki tarah mujh ko asma sikha koi rasta dikha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.