baqa-e-mohabbat
dar dīvār aur darīche
ek muāhida haiñ
adam-e-mudāḳhalat kā mashrūt muāhida
do mohazzab insānoñ ke darmiyāñ
do mutamaddin ḳhāndānoñ ke darmiyāñ
dīvār
tahzīb kī tarjumān
tamaddun kī pahchān
aur baqā-e-bāhamī kī ā.īna-dār
hiila huqūq kī zamānat
baqā-e-tahīyat kī alāmat
hait aur ahāta
zehnī-o-jismānī āsūdgī
aur
sukh-chain ke liye lāzim hai
daḳhl dar ma.aqūlāt
ġhair-aḳhlāqī hī nahīñ
ġhair-insānī ravayya bhī hai
ghar kā haq hai ki vo
dūsre ghar kī be-jā mudāḳhalat se mahfūz rahe
ham dīvār to
hamdard hotā hai
ḳhabar-gīr hotā hai
ḳhabar-rasāñ nahīñ ban saktā
taḳhayyul āsūdgī
sukh ghaTātī
aur dukh baḌhātī hai
shakar-ganjī paidā kartī hai
āzurda-dilī kā maujib bantī hai
fāsle dīvār kī puḳhtagī se nahīñ
diloñ kī saḳhtī se baḌhte haiñ
puḳhta dīvār to tamaddun kī baqā hai
suurī fāsle be-ma.anī ho jaate haiñ
agar qalb-o-nazar shaad hoñ
haq ḳhalvat ḳhalīj nahīñ
farāḳhī tarfain hai
privacy kā haq
tahzīb-e-insānī kī me.arāj hai
dar diwar aur dariche
ek muahida hain
adam-e-mudaKHalat ka mashrut muahida
do mohazzab insanon ke darmiyan
do mutamaddin KHandanon ke darmiyan
diwar
tahzib ki tarjuman
tamaddun ki pahchan
aur baqa-e-bahami ki aaina-dar
hila huquq ki zamanat
baqa-e-tahiyat ki alamat
hait aur ahata
zehni-o-jismani aasudgi
aur
sukh-chain ke liye lazim hai
daKHl dar maqulat
ghair-aKHlaqi hi nahin
ghair-insani rawayya bhi hai
ghar ka haq hai ki wo
dusre ghar ki be-ja mudaKHalat se mahfuz rahe
hum diwar to
hamdard hota hai
KHabar-gir hota hai
KHabar-rasan nahin ban sakta
taKHayyul aasudgi
sukh ghaTati
aur dukh baDhati hai
shakar-ganji paida karti hai
aazurda-dili ka maujib banti hai
fasle diwar ki puKHtagi se nahin
dilon ki saKHti se baDhte hain
puKHta diwar to tamaddun ki baqa hai
suri fasle be-mani ho jate hain
agar qalb-o-nazar shad hon
haq KHalwat KHalij nahin
faraKHi tarfain hai
priwacy ka haq
tahzib-e-insani ki mearaj hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.