baqa
jo tanhā.ī ke kuchh lamhe
kabhī aa jaa.eñ hāthoñ meñ
to muTThī bhīñch kar apnī
chamakte jugnuoñ kī raushnī jaise ye pal
apnī hathelī par sajā lenā
ki hāthoñ se nikal jaate haiñ
kitne qīmtī lamhe
jo tanhā.ī kī vahshat se
nikal jaane kī ujlat meñ
ham aksar chhū nahīñ paa.e
utar kar ruuh kī gahrā.iyoñ meñ
raushnī bharne se pahle hī
jhaTak kar ham jinheñ
phir lauT aate haiñ
isī be-mehr hañgāmoñ kī duniyā meñ
jahāñ har pal adhūrā hai
jahāñ har saath saaya hai
añdhere is nagar meñ
an-ginat sadiyāñ bitāne meñ
kabhī mil jaa.eñ kuchh lamhe
to muTThī bhīñch kar apnī
chamakte jugnuoñ kī raushnī jaise ye pal
apnī hathelī par
sajā lenā
jo tanhai ke kuchh lamhe
kabhi aa jaen hathon mein
to muTThi bhinch kar apni
chamakte jugnuon ki raushni jaise ye pal
apni hatheli par saja lena
ki hathon se nikal jate hain
kitne qimti lamhe
jo tanhai ki wahshat se
nikal jaane ki ujlat mein
hum aksar chhu nahin pae
utar kar ruh ki gahraiyon mein
raushni bharne se pahle hi
jhaTak kar hum jinhen
phir lauT aate hain
isi be-mehr hangamon ki duniya mein
jahan har pal adhura hai
jahan har sath saya hai
andhere is nagar mein
an-ginat sadiyan bitane mein
kabhi mil jaen kuchh lamhe
to muTThi bhinch kar apni
chamakte jugnuon ki raushni jaise ye pal
apni hatheli par
saja lena
- Book : Pakistani Adab (Pg. 126)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.