barf-bari ki rut
yahīñ to kahīñ par
tumhāre laboñ ne
mire sard hoñToñ se barfīle zarre chune the
usī peḌ kī chhāl par haath rakh kar
ham ik din khaḌe the
yahīñ barf-bārī meñ ham laḌkhaḌāte hue jā rahe the
bahak taaza bosoñ kī sar meñ samā.e
ham-āġhoshī jism-o-jāñ ke nashe meñ
ga.ī barf-bārī kī rut
aur pighaltī huī barf bhī bah ga.ī sab
yahāñ kuchh nahīñ ab
ki har shai na.ī hai
haTā kar ridā barf kī ghaas lahrā rahī hai
harī pattiyoñ kī ghanī Tahniyoñ meñ
havā jab chale to
ga.e mausamoñ se guzartī
hamārī hañsī gūñjtī hai
yahin to kahin par
tumhaare labon ne
mere sard honTon se barfile zarre chune the
usi peD ki chhaal par hath rakh kar
hum ek din khaDe the
yahin barf-bari mein hum laDkhaDate hue ja rahe the
bahak taza boson ki sar mein samae
ham-aghoshi jism-o-jaan ke nashe mein
gai barf-bari ki rut
aur pighalti hui barf bhi bah gai sab
yahan kuchh nahin ab
ki har shai nai hai
haTa kar rida barf ki ghas lahra rahi hai
hari pattiyon ki ghani Tahniyon mein
hawa jab chale to
gae mausamon se guzarti
hamari hansi gunjti hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 323)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.