barf-bari mein
jahāñ lakḌī kī mezoñ aur nañgī kursiyoñ meñ
shah-e-balūtī gardanoñ kā ḳham nazar aa.e
vahāñ jhuknā ibādat hai
maiñ nañge paañv bāhar aa gayā thā barf-bārī meñ
mirī khiḌkī ke nīche chāñdnī se bhī ziyāda chāñdnī thī
jab havā pāgal huī
aur tum ne chehra moḌ kar sone kī koshish kī
havā suntī nahīñ hai
havā jab bhī chalegī khiḌkiyoñ par zarb aa.egī
koī āvāz bhī hogī
chalo aisā karo so lo
tum apnī niiñd do din ke liye mahfūz kar lo
barf-bārī meñ rifāqat kī har ik sūrat ibādat hai
jahan lakDi ki mezon aur nangi kursiyon mein
shah-e-baluti gardanon ka KHam nazar aae
wahan jhukna ibaadat hai
main nange panw bahar aa gaya tha barf-bari mein
meri khiDki ke niche chandni se bhi ziyaada chandni thi
jab hawa pagal hui
aur tum ne chehra moD kar sone ki koshish ki
hawa sunti nahin hai
hawa jab bhi chalegi khiDkiyon par zarb aaegi
koi aawaz bhi hogi
chalo aisa karo so lo
tum apni nind do din ke liye mahfuz kar lo
barf-bari mein rifaqat ki har ek surat ibaadat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.