barf ke shahr ki viran guzar-gahon par
barf ke shahr kī vīrān guzargāhoñ par
mere hī naqsh-e-qadam mere sipāhī haiñ
mirā hausla haiñ
zindagiyāñ
apne gunāhoñ kī panah-gāhoñ meñ haiñ
raqs-kunāñ
raushaniyāñ
band darvāzoñ kī darzoñ se Tapaktī huī
qatra qatra
shab kī dahlīz pe girtī haiñ kabhī
koī mad.hosh sī le
jaama mai oḌh ke aatī hai guzar jaatī hai
raat kuchh aur biphar jaatī hai
aur baḌh jaatī haiñ ḳhāmosh khaḌī dīvāreñ
be-sadā sadiyoñ ke chūne se chunī dīvāreñ
jo ki maazī bhī haiñ mustaqbil bhī
jin ke pīchhe hai kahīñ
ātish-e-lamha-e-maujūd ki jo
lamha-e-maujūd kī hasrat hai
mirī nazm kī hairat hai jise
DhūñDhtā phirtā huuñ maiñ
ghūmtā phirtā huuñ maiñ barf bharī raat kī vīrānī meñ
an-kahī nazm kī tuġhyānī meñ
haiñ bhañvar kitne guhar kitne haiñ
kitne alāpeñ pas-e-parda lā
chashm-e-nā-bīnā ke āfāq meñ
kitne be-rañg kare
kitne dhanak rañg ḳhalā
kitne sapne haiñ ki jo
shahr ke tañg puloñ ke nīche
resturānoñ kī mahak oḌh ke so jaate haiñ
kitnī nīndeñ haiñ ki jo apne shabistānoñ meñ
valium chāTtī haiñ
jāgtī haiñ
barf ke shahr ki viran guzargahon par
mere hi naqsh-e-qadam mere sipahi hain
mera hausla hain
zindagiyan
apne gunahon ki panah-gahon mein hain
raqs-kunan
raushaniyan
band darwazon ki darzon se Tapakti hui
qatra qatra
shab ki dahliz pe girti hain kabhi
koi madhosh si le
jama mai oDh ke aati hai guzar jati hai
raat kuchh aur biphar jati hai
aur baDh jati hain KHamosh khaDi diwaren
be-sada sadiyon ke chune se chuni diwaren
jo ki mazi bhi hain mustaqbil bhi
jin ke pichhe hai kahin
aatish-e-lamha-e-maujud ki jo
lamha-e-maujud ki hasrat hai
meri nazm ki hairat hai jise
DhunDhta phirta hun main
ghumta phirta hun main barf bhari raat ki virani mein
an-kahi nazm ki tughyani mein
hain bhanwar kitne guhar kitne hain
kitne alapen pas-e-parda la
chashm-e-na-bina ke aafaq mein
kitne be-rang kare
kitne dhanak rang KHala
kitne sapne hain ki jo
shahr ke tang pulon ke niche
resturanon ki mahak oDh ke so jate hain
kitni ninden hain ki jo apne shabistanon mein
walium chaTti hain
jagti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.