barf ki ek safed chadar par
mazhab-o-rang kī siyāsat ne
merī firdaus merī jannat kā
rang aur nuur hī badal Daalā
puurā dastūr hī badal Daalā
nafratoñ kī havā chalā.ī ga.ī
zāfrānī fazā banā.ī ga.ī
ḳhuun ko ḳhaak meñ milāyā gayā
sabz tahzīb ko miTāyā gayā
gulsitāñ kā nizām badlā gayā
aur pa.e-intiqām badlā gayā
jabr ke rāste nikāle ga.e
aur javāñ peḌ kaaT Daale ga.e
Tahniyāñ kāñptī laraztī rahīñ
sahme sahme gulāb toḌe ga.e
phuul aur pattiyoñ kā zikr hī kyā
ġhunche bhī shāḳh par na chhoḌe ga.e
titliyoñ ke paroñ ko maslā gayā
jugnū sangīn meñ piro.e ga.e
pyaas bhī ḳhuun se bujhā.ī ga.ī
zaḳhm bhī ḳhuun hī se dho.e ga.e
barf kī ik safed chādar par
ḳhuun se ik payām likkhā gayā
amn insāñ ke naam likhā gayā
log ab pūchhte haiñ ai 'tāriq'
ḳhuuñ se likkhā payām kis kā hai
ye bhī likh do ki naam kis kā hai
mazhab-o-rang ki siyasat ne
meri firdaus meri jannat ka
rang aur nur hi badal Dala
pura dastur hi badal Dala
nafraton ki hawa chalai gai
zafrani faza banai gai
KHun ko KHak mein milaya gaya
sabz tahzib ko miTaya gaya
gulsitan ka nizam badla gaya
aur pae-intiqam badla gaya
jabr ke raste nikale gae
aur jawan peD kaT Dale gae
Tahniyan kanpti larazti rahin
sahme sahme gulab toDe gae
phul aur pattiyon ka zikr hi kya
ghunche bhi shaKH par na chhoDe gae
titliyon ke paron ko masla gaya
jugnu sangin mein piroe gae
pyas bhi KHun se bujhai gai
zaKHm bhi KHun hi se dhoe gae
barf ki ek safed chadar par
KHun se ek payam likkha gaya
amn insan ke nam likha gaya
log ab puchhte hain ai 'tariq'
KHun se likkha payam kis ka hai
ye bhi likh do ki nam kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.