bargad ka peD
āñkheñ mīche soch meñ gum
dhonī ramā.e koī sādhū jaise baiThā ho
bachche khel rahe haiñ
jin kī chīḳhoñ se
ḳhāmoshī ke sākin chauhaḌ meñ halchal
jhoñke aate haiñ
lekin ye chup sādhe rahtā hai
maut bhī shāyad us ke buḌhāpe ko chhūne se Dartī hai
us kā tan maazī se bojhal hai
aur hamāre din us ke bhārī-pan ko
sahmī sahmī nazroñ se dekh rahe haiñ
us ke pattoñ ne kyuuñ har koñpal ko Dhāñp rakhā hai
us kī shāḳheñ kyuuñ miTTī meñ ghus kar jaḌ ban jaatī haiñ
aankhen miche soch mein gum
dhoni ramae koi sadhu jaise baiTha ho
bachche khel rahe hain
jin ki chiKHon se
KHamoshi ke sakin chauhaD mein halchal
jhonke aate hain
lekin ye chup sadhe rahta hai
maut bhi shayad us ke buDhape ko chhune se Darti hai
us ka tan mazi se bojhal hai
aur hamare din us ke bhaari-pan ko
sahmi sahmi nazron se dekh rahe hain
us ke patton ne kyun har konpal ko Dhanp rakha hai
us ki shaKHen kyun miTTi mein ghus kar jaD ban jati hain
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 121)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.