barkha ki ek subh
saarī raat kā jaagā thā maiñ
aur barkhā kī bhīgī sub.h meñ
terī yaad kī chādar oḌh ke
aañkh lagī thī
uTh kar dekhā jab to
sūraj aag kā golā dahak rahā thā
ghaas pe nam kā halkā sā bhī
naqsh nahīñ thā
din pe pichhlī raat ke
ḳhvāb kī
ek bhī chhīñT nahīñ thī baaqī
dhuup hare dālān meñ baiThī
uuñgh rahī thī
jism kī chhāl pe
khude hue kuchh naam nahīñ the
un kī jagah kuchh zang lage se
kiil Tañge the
jin pe pichhlī raat kī yādeñ
yuuñ aTkī thiiñ
jaise be-ābād gharoñ par
zang lage taale laTke hoñ
sari raat ka jaga tha main
aur barkha ki bhigi subh mein
teri yaad ki chadar oDh ke
aankh lagi thi
uTh kar dekha jab to
suraj aag ka gola dahak raha tha
ghas pe nam ka halka sa bhi
naqsh nahin tha
din pe pichhli raat ke
KHwab ki
ek bhi chhinT nahin thi baqi
dhup hare dalan mein baiThi
ungh rahi thi
jism ki chhaal pe
khude hue kuchh nam nahin the
un ki jagah kuchh zang lage se
kil Tange the
jin pe pichhli raat ki yaaden
yun aTki thin
jaise be-abaad gharon par
zang lage tale laTke hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.