barsat ki rut aai
barsāt kī rut aa.ī ghanghor ghaTā chhā.ī
ākāsh kā man lahkā dhartī ko hañsī aa.ī
barsāt kī rut aa.ī ghanghor ghaTā chhā.ī
purvā.ī kī san-san meñ shādāb chaman jhūme
shāḳhoñ kī kamar lachkī phūloñ ke badan jhūme
rangīn nazāroñ meñ mad.hosh phuvāroñ meñ
jharnoñ kī madhur lai par jangal kī fazā gaa.ī
barsāt kī rut aa.ī ghanghor ghaTā chhā.ī
mausam kī javānī phir jaadū sā jagātī hai
āvāz papīhe kī phir hosh uḌātī hai
phir guuñj uThe naġhme phir jaag uThe armāñ
siine meñ umañgeñ phir lene lagīñ añgḌā.ī
barsāt kī rut aa.ī ghanghor ghaTā chhā.ī
maidān meñ bastī meñ kohsār meñ paanī hai
bāzār meñ paanī hai gulzār meñ paanī hai
umDī huī nadiyāñ haiñ chaḌhte hue naale haiñ
har buuñd majīrā hai har mauj hai shahnā.ī
barsāt kī rut aa.ī ghanghor ghaTā chhā.ī
barsat ki rut aai ghanghor ghaTa chhai
aakash ka man lahka dharti ko hansi aai
barsat ki rut aai ghanghor ghaTa chhai
purwai ki san-san mein shadab chaman jhume
shaKHon ki kamar lachki phulon ke badan jhume
rangin nazaron mein madhosh phuwaron mein
jharnon ki madhur lai par jangal ki faza gai
barsat ki rut aai ghanghor ghaTa chhai
mausam ki jawani phir jadu sa jagati hai
aawaz papihe ki phir hosh uDati hai
phir gunj uThe naghme phir jag uThe arman
sine mein umangen phir lene lagin angDai
barsat ki rut aai ghanghor ghaTa chhai
maidan mein basti mein kohsar mein pani hai
bazar mein pani hai gulzar mein pani hai
umDi hui nadiyan hain chaDhte hue nale hain
har bund majira hai har mauj hai shahnai
barsat ki rut aai ghanghor ghaTa chhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.