barsat ki sham
kis qadar dilkash suhānī shaam hai barsāt kī
bolne vaalī hai ab tasvīr goyā raat kī
dāman-e-maġhrib meñ poshīda ruḳh-e-ḳhurshīd hai
aamad aamad hai qamar kī us kā shauq-e-dīd hai
ḳhāma-e-qudrat ke pā-e-Dhab shafaq ke rañg meñ
sar-ba-sar Duube hue haiñ sab shafaq ke rañg meñ
sar uThā kar āsmāñ kī jāma-zebī dekhiye
us kī rañgīnī meñ kyā hai dil-farebī dekhiye
ye rū-pahlā ye sunahrā rañg hī kuchh aur hai
rañg hī kuchh aur be-shak Dhañg hī kuchh aur hai
kaam sone kā banā hai gumbad-e-aflāk par
zau-fagan hotā hai aalam is kā farsh-e-ḳhāk par
bazm-e-gardūñ par huā hai anjuman-ārā koī
jhāñktā parde se hai shāyad ye mah-pāra koī
maiñ na kyuuñ qurbān jā.ūñ is adā is Dhañg ke
āsmāñ par khil rahe haiñ phuul lākhoñ rañg ke
haiñ lakīreñ muḳhtalif rañgoñ kī rañgīñ daaġh hai
ye ḳhudā kī shaan hai kyā āsmāñ par baaġh hai
shaam hai barsāt kī dilchasp manzar saath hai
dekhiye hotā hai kyā qudrat kā is meñ haath hai
sūrat-e-tasvīr chup 'bismil' hue ye bol kar
husn kī duniyā hai dekho dīda-e-dil khol kar
kis qadar dilkash suhani sham hai barsat ki
bolne wali hai ab taswir goya raat ki
daman-e-maghrib mein poshida ruKH-e-KHurshid hai
aamad aamad hai qamar ki us ka shauq-e-did hai
KHama-e-qudrat ke pa-e-Dhab shafaq ke rang mein
sar-ba-sar Dube hue hain sab shafaq ke rang mein
sar uTha kar aasman ki jama-zebi dekhiye
us ki rangini mein kya hai dil-farebi dekhiye
ye ru-pahla ye sunahra rang hi kuchh aur hai
rang hi kuchh aur be-shak Dhang hi kuchh aur hai
kaam sone ka bana hai gumbad-e-aflak par
zau-fagan hota hai aalam is ka farsh-e-KHak par
bazm-e-gardun par hua hai anjuman-ara koi
jhankta parde se hai shayad ye mah-para koi
main na kyun qurban jaun is ada is Dhang ke
aasman par khil rahe hain phul lakhon rang ke
hain lakiren muKHtalif rangon ki rangin dagh hai
ye KHuda ki shan hai kya aasman par bagh hai
sham hai barsat ki dilchasp manzar sath hai
dekhiye hota hai kya qudrat ka is mein hath hai
surat-e-taswir chup 'bismil' hue ye bol kar
husn ki duniya hai dekho dida-e-dil khol kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.