bastiyan zinda rahengi
tum zamīñ par ek bhī saaya agar dekho to samjho āsmānoñ ke tale ye bastiyāñ zinda raheñgī
vo jo mātam kar rahe haiñ ro rahe haiñ apne bachchoñ ko
nahīñ aatā yaqīñ un ko vo jiite haiñ ab tak titliyāñ un ke ta.āqub meñ ga.ī haiñ
vo jo mātam kar rahe haiñ apne bachchoñ kā
unheñ kah do
pahāḌoñ se nidā aatī nahīñ to ye na socheñ shahr murda ho ga.e haiñ
aaj kī tārīḳh meñ sūraj na chamke gar makānoñ par
to ye matlab na lo zulmat muqaddar ho chukī hai
raat ke us paar bhī ik raat hai lambī anokhī aur Darāonī raat ye sach hai
ki us ke haath meñ tasvīr hai ik sail-e-hairat kī
jo mātam kar rahe haiñ un se ye kah do
lahū bahtā hai jab ābādiyoñ meñ tañg aur tārīk rastoñ par
to ik āvāz aatī hai
hazāroñ haath uThte haiñ
fasīloñ se pare bhī chīḳh kī āvāz lambī guuñj ban kar kauñdtī rahtī hai sadiyoñ tak
Darāvne lafz giddhoñ kī tarah uḌte haiñ shahroñ par
koī kitnā bhī Dar kar band kar le ghar ke darvāze
magar vo chain se battī bujhā kar so nahīñ saktā
añdhere meñ hazāroñ haath uThte haiñ
añdhere meñ hazāroñ chīḳhte haiñ bhuut ban ban kar Darāte haiñ
jo mātam kar rahe haiñ un se ye kah do
samajh leñ āsmānoñ ke tale ye jagmagātī bastiyāñ zinda raheñgī
mar nahīñ saktīñ
tum zamin par ek bhi saya agar dekho to samjho aasmanon ke tale ye bastiyan zinda rahengi
wo jo matam kar rahe hain ro rahe hain apne bachchon ko
nahin aata yaqin un ko wo jite hain ab tak titliyan un ke taaqub mein gai hain
wo jo matam kar rahe hain apne bachchon ka
unhen kah do
pahaDon se nida aati nahin to ye na sochen shahr murda ho gae hain
aaj ki tariKH mein suraj na chamke gar makanon par
to ye matlab na lo zulmat muqaddar ho chuki hai
raat ke us par bhi ek raat hai lambi anokhi aur Daraoni raat ye sach hai
ki us ke hath mein taswir hai ek sail-e-hairat ki
jo matam kar rahe hain un se ye kah do
lahu bahta hai jab aabaadiyon mein tang aur tarik raston par
to ek aawaz aati hai
hazaron hath uThte hain
fasilon se pare bhi chiKH ki aawaz lambi gunj ban kar kaundti rahti hai sadiyon tak
Darawne lafz giddhon ki tarah uDte hain shahron par
koi kitna bhi Dar kar band kar le ghar ke darwaze
magar wo chain se batti bujha kar so nahin sakta
andhere mein hazaron hath uThte hain
andhere mein hazaron chiKHte hain bhut ban ban kar Daraate hain
jo matam kar rahe hain un se ye kah do
samajh len aasmanon ke tale ye jagmagati bastiyan zinda rahengi
mar nahin saktin
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 55)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.