batao to sahi
bhaap paanī ko banāne vaalī qudrat kis kī hai
bādaloñ se paanī barsāne meñ hikmat kis kī hai
kaun is murda zamīñ se phal ugātā hai batāo
miltī hai jo roz ham sab ko vo ne'mat kis kī hai
kaun añdhere kā hai ḳhāliq kis ne din raushan kiyā
roz-o-shab kis ne banā.e den hai kis kī havā
aag ko quvvat jalāne kī 'atā kartā hai kaun
gul khilāne ke liye kis ne banā.ī hai sabā
kis kī hikmat hai ki chaltā hai nizām-e-zindagī
kaun paidā kartā hai zehn-e-bashar meñ raushnī
parvarish karvā.ī kis ne nanhe bachchoñ kī batāo
baap ko dī kis ne shafqat maañ ko mamtā kis ne dī
bhap pani ko banane wali qudrat kis ki hai
baadalon se pani barsane mein hikmat kis ki hai
kaun is murda zamin se phal ugata hai batao
milti hai jo roz hum sab ko wo ne'mat kis ki hai
kaun andhere ka hai KHaliq kis ne din raushan kiya
roz-o-shab kis ne banae den hai kis ki hawa
aag ko quwwat jalane ki 'ata karta hai kaun
gul khilane ke liye kis ne banai hai saba
kis ki hikmat hai ki chalta hai nizam-e-zindagi
kaun paida karta hai zehn-e-bashar mein raushni
parwarish karwai kis ne nanhe bachchon ki batao
bap ko di kis ne shafqat man ko mamta kis ne di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.