baTwara
achchhā-ḳhāsā
baḌā sā makāñ thā
baT gayā
Dher saarī lakīroñ ke darmiyāñ aa gayā
pūrvajoñ kā lagāyā huā peḌ
kaT gayā
saarī dahlīz
har koTharī
baḌā sā dālān
jo purkhoñ kī faiyyaz tabī.at kā maz.har bhī thā
chhoTī-chhoTī sī ḳhvāhishoñ ke sāmne
surangoñ sā ho gayā
aur phir
baḌe se āñgan ke dil meñ bhī
ḳhanjar gaḌā
mogrā
amrūd
aur papīte ke peḌ
ik dūsre se ajnabī ho ga.e
vo usārā jahāñ
daadā dūsroñ ke saath baiTh kar
khet fasleñ aur khaliyān
aur gaañv ke dūsre mas.aloñ par
faisla karte hue usī miTTī meñ kho ga.e
us usāre meñ ek din
saarī rūheñ ikaTThī huiiñ
sab hī hasrat se takte rahe
vo baḌā sā makāñ
jo ka.ī hisse meñ munqasim ho chukā thā
sab fasurda malūl aur dil-shikasta se the
aaj ik savāl un kī āñkhoñ meñ thā
baḌe se makāñ ke ye chhoTe se hisse
aglī nasloñ meñ kaise baTe.ge
achchha-KHasa
baDa sa makan tha
baT gaya
Dher sari lakiron ke darmiyan aa gaya
purwajon ka lagaya hua peD
kaT gaya
sari dahliz
har koThari
baDa sa dalan
jo purkhon ki faiyyaz tabiat ka mazhar bhi tha
chhoTi-chhoTi si KHwahishon ke samne
surangon sa ho gaya
aur phir
baDe se aangan ke dil mein bhi
KHanjar gaDa
mogra
amrud
aur papite ke peD
ek dusre se ajnabi ho gae
wo usara jahan
dada dusron ke sath baiTh kar
khet faslen aur khaliyan
aur ganw ke dusre masalon par
faisla karte hue usi miTTi mein kho gae
us usare mein ek din
sari ruhen ikaTThi huin
sab hi hasrat se takte rahe
wo baDa sa makan
jo kai hisse mein munqasim ho chuka tha
sab fasurda malul aur dil-shikasta se the
aaj ek sawal un ki aankhon mein tha
baDe se makan ke ye chhoTe se hisse
agli naslon mein kaise baTege
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.