bauchhaar
raat kī āḳhirī train talak
ghar meñ bikhrī huī sabhī chīzeñ
ek ek kar ke saaf hotī haiñ
aur jagah un kī badlī jaatī hai
phir kitāboñ kī saaf almārī
bas khulī rahtī hai yuuñ hī ghanToñ
raat kī āḳhirī train ke baa'd
rickshaw tāñgoñ kī khaḌkhaḌāhaT se
sote sote vo jaag jaatī hai
der tak jism kī harārat se
apne tanhā gudāz bistar ko
chand guzre hue dinoñ kī baat
dhīre dhīre sunātī rahtī hai
sub.h hone se pahle kitnī baar
ThanDe paanī se vo nahātī hai
raat ki aaKHiri train talak
ghar mein bikhri hui sabhi chizen
ek ek kar ke saf hoti hain
aur jagah un ki badli jati hai
phir kitabon ki saf almari
bas khuli rahti hai yun hi ghanTon
raat ki aaKHiri train ke ba'd
rickshaw tangon ki khaDkhaDahaT se
sote sote wo jag jati hai
der tak jism ki hararat se
apne tanha gudaz bistar ko
chand guzre hue dinon ki baat
dhire dhire sunati rahti hai
subh hone se pahle kitni bar
ThanDe pani se wo nahati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.