bauna
ek kahāvat maiñ ne sunī hai
pahle kāġhaz par akbar ne ik ḳhat khīñchā
bīrbal se nok-jhoñk ke lahje meñ phir
ye farmāyā
binā ghaTā.e binā miTā.e kyā tum mere ḳhat ko chhoTā kar sakte ho
pal bhar ko to us ne sochā lekin
phir us ḳhat ke madd-e-muqābil
us se lambā ik ḳhat khīñchā
aur kahā ai zill-e-ilāhī
aap kā ḳhat ab mere ḳhat se kitnā chhoTā lagne lagā hai
chhoTe baḌoñ kī is duniyā meñ
mere qad se jalne vaalo
apne qad ko ūñchā karne kā fan sīkho
maiñ to ḳhud hī chhoTā lagne lag jā.uñgā
tum ko ḳhush karne kī ḳhātir
tum hī kaho
maiñ chāhūñ bhī to
apne qad ko kaise chhoTā kar saktā huuñ
ek kahawat main ne suni hai
pahle kaghaz par akbar ne ek KHat khincha
birbal se nok-jhonk ke lahje mein phir
ye farmaya
bina ghaTae bina miTae kya tum mere KHat ko chhoTa kar sakte ho
pal bhar ko to us ne socha lekin
phir us KHat ke madd-e-muqabil
us se lamba ek KHat khincha
aur kaha ai zill-e-ilahi
aap ka KHat ab mere KHat se kitna chhoTa lagne laga hai
chhoTe baDon ki is duniya mein
mere qad se jalne walo
apne qad ko uncha karne ka fan sikho
main to KHud hi chhoTa lagne lag jaunga
tum ko KHush karne ki KHatir
tum hi kaho
main chahun bhi to
apne qad ko kaise chhoTa kar sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.