be-ghari
ḳhvāb kī saltanat se udhar
ik jahāñ hai jise aañkh ābād kar le to kar le
vahāñ saa.e hī saa.e haiñ
aksar o besh-tar dhuup meñ raqs karte hue
rezgārī kī āvāz par dhaḌkaneñ taal detī haiñ to jhilmilāte haiñ
āñkhoñ meñ ḳhvāb
(apnā ghar us ke dār-ul-ḳhilāfe meñ hai)
sub.h se shaam tak
note gintī huī uñgliyāñ yuuñ thiraktī haiñ
jaise tamannāoñ ko thapkiyāñ de shab-e-hijr meñ ek birhan kā dil
roz ḳhvāboñ kī pūñjī meñ sikkoñ ke girne se ik guuñj uThtī hai
goyā kahīñ Tiin kī chhat pe bārish ke qatre paḌeñ
roz ik ghar tamannā ke malbe se āñkhoñ ke pātāl meñ jhāñktā hai
vahī be-gharī be-zamīnī kā dukh aaj tak mujh ko ghere hue hai
maiñ chāñd aur sūraj kī sūrat falak-dar-falak tairtā huuñ
mire ḳhvāb mujh ko uḌaa.e liye jā rahe haiñ
maiñ pāmāl hotī huī aarzū meñ kahāñ tak jiyūñgā
KHwab ki saltanat se udhar
ek jahan hai jise aankh aabaad kar le to kar le
wahan sae hi sae hain
aksar o besh-tar dhup mein raqs karte hue
rezgari ki aawaz par dhaDkanen tal deti hain to jhilmilate hain
aankhon mein KHwab
(apna ghar us ke dar-ul-KHilafe mein hai)
subh se sham tak
note ginti hui ungliyan yun thirakti hain
jaise tamannaon ko thapkiyan de shab-e-hijr mein ek birhan ka dil
roz KHwabon ki punji mein sikkon ke girne se ek gunj uThti hai
goya kahin Tin ki chhat pe barish ke qatre paDen
roz ek ghar tamanna ke malbe se aankhon ke patal mein jhankta hai
wahi be-ghari be-zamini ka dukh aaj tak mujh ko ghere hue hai
main chand aur suraj ki surat falak-dar-falak tairta hun
mere KHwab mujh ko uDae liye ja rahe hain
main pamal hoti hui aarzu mein kahan tak jiyunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.