be-hunar saaton mein ek sawal
nuzūl-e-kashf kī rah meñ safed darvāze
qadam-burīda-musāfir se pūchhte hī rahe
tire safar meñ to ujle dinoñ kī bārish thī
tirī nigāhoñ meñ ḳhufta dhanak ne karvaT lī
balā kī niind meñ bhī haath jāgte the tire
tamām pahlū masāfat ke sāmne the tire
tirī gavāhī pe to phuul phalne lagte the
tire hī saath vo manzar bhī chalne lagte the
Thahar ga.e the jo bām-e-zavāl par ik din
hañse the khul ke jo ahd-e-kamāl par ik din
tire junūñ pe qayāmat guzar ga.ī kaise
riyāzatoñ kī vo rut be-samar ga.ī kaise
nuzul-e-kashf ki rah mein safed darwaze
qadam-burida-musafir se puchhte hi rahe
tere safar mein to ujle dinon ki barish thi
teri nigahon mein KHufta dhanak ne karwaT li
bala ki nind mein bhi hath jagte the tere
tamam pahlu masafat ke samne the tere
teri gawahi pe to phul phalne lagte the
tere hi sath wo manzar bhi chalne lagte the
Thahar gae the jo baam-e-zawal par ek din
hanse the khul ke jo ahd-e-kamal par ek din
tere junun pe qayamat guzar gai kaise
riyazaton ki wo rut be-samar gai kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.