be-karan silsila
zehn meñ bil-yaqīñ koī naqsha na thā
kho gayā jazba-e-dil ḳhalā-dar-ḳhalā
rāstoñ se alag thā mirā rāsta
jaise maiñ duur kī ek āvāz thā
dam-ba-dam āgahī ko tarastā rahā
kaun mere liye māñgtā thā duā
miTTiyoñ kī mahak ab havā meñ na thī
lab pe machlā kiyā zā.iqa ajnabī
tishnagī rah ga.ī sochtī sochtī
nāchtī hī rahī ek be-kal sadā
ek TuuTā huā saaz khankā kiyā
kaun mere liye māñgtā thā duā
ik shikasta se nashshe kī bechārgī
baañT kar niim ḳhvābī kahīñ so ga.ī
aañkh se ik namī sī barastī rahī
rah gayā phir vahī be-karāñ silsila
siskiyoñ meñ vo manzar hī Duubā kiyā
kaun mere liye māñgtā thā duā
har nafas aañch sī ik sulagtī rahī
haañ samar thā vafāoñ kā shāyad yahī
har qadam har qadam nit na.ī gumrahī
fāsla qurbatoñ kī sazā ban gayā
kaun mere liye māñgtā thā duā
aaj siine meñ mahfūz kar bhī liye
dhaḌkanoñ ke ka.ī narm rishte na.e
qurbatoñ meñ hue anginat hādse
jab vafāoñ kā phir us ne va.ada kiyā
ik ta'alluq badan-bhar machal sā gayā
kaun mere liye māñgtā thā duā
vo jo ugne lagī thī ḳhabar ik hasīñ
ham ne ḳhvāb ek boyā thā shāyad kahīñ
sabz pā kar ta'alluq kī banjar zamīñ
kuchh salīqa gunāhoñ meñ aa hī gayā
ek raqs-e-hasīñ aarzū kā rahā
kaun mere liye māñgtā thā duā
dilkashī aarzū kī na bahlā sakī
shaam aisī ki jis kī sahar na huī
raat kī ḳhāmushī ḳhāmushī hī rahī
lazzateñ ġham kā jhoñkā churā le gayā
āshnā ho gayā aaj nā-āshnā
kaun mere liye māñgtā thā duā
ho ke ġharq-e-tasavvur na ham so sake
ḳhvāb to ḳhvāb the ḳhvāb hī rah ga.e
āsmāñ ke pare āsmāñ the na.e
zehn ehsās kā sochtā rah gayā
āḳhirash aadmī kā muqaddar hai kyā
kaun mere liye māñgtā thā duā
zehn mein bil-yaqin koi naqsha na tha
kho gaya jazba-e-dil KHala-dar-KHala
raston se alag tha mera rasta
jaise main dur ki ek aawaz tha
dam-ba-dam aagahi ko tarasta raha
kaun mere liye mangta tha dua
miTTiyon ki mahak ab hawa mein na thi
lab pe machla kiya zaiqa ajnabi
tishnagi rah gai sochti sochti
nachti hi rahi ek be-kal sada
ek TuTa hua saz khanka kiya
kaun mere liye mangta tha dua
ek shikasta se nashshe ki bechaargi
banT kar nim KHwabi kahin so gai
aankh se ek nami si barasti rahi
rah gaya phir wahi be-karan silsila
siskiyon mein wo manzar hi Duba kiya
kaun mere liye mangta tha dua
har nafas aanch si ek sulagti rahi
han samar tha wafaon ka shayad yahi
har qadam har qadam nit nai gumrahi
fasla qurbaton ki saza ban gaya
kaun mere liye mangta tha dua
aaj sine mein mahfuz kar bhi liye
dhaDkanon ke kai narm rishte nae
qurbaton mein hue anginat hadse
jab wafaon ka phir us ne wada kiya
ek ta'alluq badan-bhar machal sa gaya
kaun mere liye mangta tha dua
wo jo ugne lagi thi KHabar ek hasin
hum ne KHwab ek boya tha shayad kahin
sabz pa kar ta'alluq ki banjar zamin
kuchh saliqa gunahon mein aa hi gaya
ek raqs-e-hasin aarzu ka raha
kaun mere liye mangta tha dua
dilkashi aarzu ki na bahla saki
sham aisi ki jis ki sahar na hui
raat ki KHamushi KHamushi hi rahi
lazzaten gham ka jhonka chura le gaya
aashna ho gaya aaj na-ashna
kaun mere liye mangta tha dua
ho ke gharq-e-tasawwur na hum so sake
KHwab to KHwab the KHwab hi rah gae
aasman ke pare aasman the nae
zehn ehsas ka sochta rah gaya
aaKHirash aadmi ka muqaddar hai kya
kaun mere liye mangta tha dua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.