be-karan
vo bhī to mere mahalle kī koī laḌkī thī
phuul se chehre pe iflās ke saa.e the ghane
us kā dāman thā kabhī dāman-e-maryam kī tarah
us ke hoñToñ pe taqaddus thā farishtoñ kī tarah
maañg meñ us ke kisī haath ne afshāñ na chunī
ḳhvāb phir ḳhvāb rahā vo kabhī dul.han na banī
us kī zulfoñ ko zamāne ne sañvarne na diyā
us kā jiinā to kujā vaqt ne marne na diyā
shab ke dariyā meñ jo utrī to vo ḳhāshāk huī
kitne jismoñ ke liye raat kī poshāk huī
vo bhī to mere mahalle kī koī laḌkī thī
phuul se chehre pe iflās ke saa.e the ghane
wo bhi to mere mahalle ki koi laDki thi
phul se chehre pe iflas ke sae the ghane
us ka daman tha kabhi daman-e-maryam ki tarah
us ke honTon pe taqaddus tha farishton ki tarah
mang mein us ke kisi hath ne afshan na chuni
KHwab phir KHwab raha wo kabhi dulhan na bani
us ki zulfon ko zamane ne sanwarne na diya
us ka jina to kuja waqt ne marne na diya
shab ke dariya mein jo utri to wo KHashak hui
kitne jismon ke liye raat ki poshak hui
wo bhi to mere mahalle ki koi laDki thi
phul se chehre pe iflas ke sae the ghane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.