be-KHwabi ki aakas bel par khili KHwahish
mujh ko sone do
sadiyoñ jaisī gahrī lambī niiñd
jis meñ koī ḳhvāb na ho
mujh ko sone do
us laḌkī kī niiñd
jo apnī āñkheñ
merī āñkhoñ meñ rakh kar
bhuul ga.ī hai!
mujh ko sone do
un logoñ kī niiñd
jin kī āñkhoñ meñ
bādal aur parinde uḌte haiñ
dariyā bahte haiñ
lekin vo pyāse rahte haiñ
mujh ko sone do
chāroñ samt bichhe sahrāo!
mere dil meñ ek samundar hai
mujh ko is meñ apne
saare ḳhvāb Dubone do
mujh ko rone do!
mujh ko sone do!!
mujh ko sone do
sadiyon jaisi gahri lambi nind
jis mein koi KHwab na ho
mujh ko sone do
us laDki ki nind
jo apni aankhen
meri aankhon mein rakh kar
bhul gai hai!
mujh ko sone do
un logon ki nind
jin ki aankhon mein
baadal aur parinde uDte hain
dariya bahte hain
lekin wo pyase rahte hain
mujh ko sone do
chaaron samt bichhe sahrao!
mere dil mein ek samundar hai
mujh ko is mein apne
sare KHwab Dubone do
mujh ko rone do!
mujh ko sone do!!
- Book : Pani mein gum khawab (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.