be-KHwabi ki tisri shab
Interesting Fact
(Saughat, Banglore)
be-ḳhvābī kī tīsrī shab
be-ḳhvābī kī tīsrī shab hai
do āñkheñ chamak chamak kar
mujh se bāteñ kartī haiñ
mere sirhāne
ik cigarette piitā ujlā ujlā saaya
anjānī ḳhushbū meñ basā
uḌtā uḌtā aatā hai
chhūte hī kho jaatā hai
be-ḳhvābī kī tīsrī shab hai
na.ī kitāboñ ke aurāq
kyuuñ harfoñ se ḳhālī haiñ
maiñ apnī Diary meñ likhtā huuñ
bechainī mire qalam se
nanhe lafzoñ meñ Tapak rahī hai
phir kaise rag rag meñ vāpas uḌ kar aa jaatī hai
be-KHwabi ki tisri shab
be-KHwabi ki tisri shab hai
do aankhen chamak chamak kar
mujh se baaten karti hain
mere sirhane
ek cigarette pita ujla ujla saya
anjaani KHushbu mein basa
uDta uDta aata hai
chhute hi kho jata hai
be-KHwabi ki tisri shab hai
nai kitabon ke auraq
kyun harfon se KHali hain
main apni Diary mein likhta hun
bechaini mere qalam se
nanhe lafzon mein Tapak rahi hai
phir kaise rag rag mein wapas uD kar aa jati hai
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 24)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.