be-niyazi
yaar hamārī fikr na karnā
apnī socho
ham to shā'ir log haiñ jaanī
phir se hijrāñ vaalī rut ne din rātoñ par qabza kar ke zulm kiyā to
phir se dariyā jaise gahre lafzoñ ke andar se motī motī chun kar
kuchh ġhazloñ ke haar buneñge
yā'nī dard kī har ik Tiis ko
har ik aah ko cash kareñge
'aish kareñge
yar hamari fikr na karna
apni socho
hum to sha'ir log hain jaani
phir se hijran wali rut ne din raaton par qabza kar ke zulm kiya to
phir se dariya jaise gahre lafzon ke andar se moti moti chun kar
kuchh ghazlon ke haar bunenge
ya'ni dard ki har ek Tis ko
har ek aah ko cash karenge
'aish karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.