be-nur kaenat mein ek kanch ka charagh
be-nūr kā.enāt meñ ik kāñch kā charāġh
kaafī hai shash-jihāt meñ ik kāñch kā charāġh
bujhtā hai TūTtā hai ki jaltā hai raah meñ
āñdhī hai aur haath meñ ik kāñch kā charāġh
terī nazar se jaagī huī lau ke faiz se
raushan hai merī zaat meñ ik kāñch kā charāġh
kaTtī hai saḳht raah kī ḳhāmosh tīrgī
jaltā hai terī baat meñ ik kāñch kā charāġh
kahte haiñ raat bhar koī nā-bīnā shahr meñ
phirtā thā le ke haath meñ ik kāñch kā charāġh
tāroñ kī raushnī kā zaḳhīra sameT kar
us ne diyā zakāt meñ ik kāñch kā charāġh
patthar kī sāzishoñ se bachā thā to luT gayā
āñdhī kī vārdāt meñ ik kāñch kā charāġh
sho.aloñ ke aur kirchiyoñ ke zaḳhm thaam kar
baiThā hai merī ghaat meñ ik kāñch kā charāġh
merī kamīn-gāh kī dushman ko de ḳhabar
shāmil hai merī maat meñ ik kāñch kā charāġh
sotā rahegā chain kī ye niiñd shaam tak
thā be-qarār raat meñ ik kāñch kā charāġh
mil kar manā rahe haiñ kisī rat-jage kī yaad
āñkheñ hamārī saath meñ ik kāñch kā charāġh
andhe safar meñ sau tarah se kaam aa gayā
har ḳhauf se najāt meñ ik kāñch kā charāġh
be-nur kaenat mein ek kanch ka charagh
kafi hai shash-jihat mein ek kanch ka charagh
bujhta hai TuTta hai ki jalta hai rah mein
aandhi hai aur hath mein ek kanch ka charagh
teri nazar se jagi hui lau ke faiz se
raushan hai meri zat mein ek kanch ka charagh
kaTti hai saKHt rah ki KHamosh tirgi
jalta hai teri baat mein ek kanch ka charagh
kahte hain raat bhar koi na-bina shahr mein
phirta tha le ke hath mein ek kanch ka charagh
taron ki raushni ka zaKHira sameT kar
us ne diya zakat mein ek kanch ka charagh
patthar ki sazishon se bacha tha to luT gaya
aandhi ki wardat mein ek kanch ka charagh
shoalon ke aur kirchiyon ke zaKHm tham kar
baiTha hai meri ghat mein ek kanch ka charagh
meri kamin-gah ki dushman ko de KHabar
shamil hai meri mat mein ek kanch ka charagh
sota rahega chain ki ye nind sham tak
tha be-qarar raat mein ek kanch ka charagh
mil kar mana rahe hain kisi rat-jage ki yaad
aankhen hamari sath mein ek kanch ka charagh
andhe safar mein sau tarah se kaam aa gaya
har KHauf se najat mein ek kanch ka charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.