be-rida be-rida gham-zada gham-zada
ek nāzuk badan aur maslā gayā
uf kalī ko darindoñ ne nochā hai yuuñ
is ke saare paroñ ko hai kaaTā gayā
ḳhuun meñ jab nahā.ī vo nannhī kalī
ro ke kahtī rahī sochtī bhī rahī
maiñ to ma.asūm huuñ mehrbānī karo
haa.e kyā jurm hai merā ye to kaho
kyoñ maiñ aa.ī huuñ duniyā meñ havvā banī
dekhī duniyā yahāñ maiñ ne jangal banī
bheḌiye kutte sab haiñ darinde yahāñ
noch Daalā masal kar hai pheñkā mujhe
laash bhī merī fariyād kartī rahī
ab qarār-o-sukūñ us ko aa.egā tab
us kā mujrim bhī apnī sazā paa.e jab
taaki koī kalī phir na aise mare
be-ridā be-ridā ġham-zada ġham-zada
ek nazuk badan aur masla gaya
uf kali ko darindon ne nocha hai yun
is ke sare paron ko hai kaTa gaya
KHun mein jab nahai wo nannhi kali
ro ke kahti rahi sochti bhi rahi
main to masum hun mehrbani karo
hae kya jurm hai mera ye to kaho
kyon main aai hun duniya mein hawwa bani
dekhi duniya yahan main ne jangal bani
bheDiye kutte sab hain darinde yahan
noch Dala masal kar hai phenka mujhe
lash bhi meri fariyaad karti rahi
ab qarar-o-sukun us ko aaega tab
us ka mujrim bhi apni saza pae jab
taki koi kali phir na aise mare
be-rida be-rida gham-zada gham-zada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.