be-zabani ka ehsas
mahaktī vādiyoñ meñ
jab bhī jhīñgar shor karte haiñ
havā.eñ jab bhī Takrātī haiñ in būḌhe daraḳhtoñ se
maiñ in kī āhaToñ par chauñk paḌtā huuñ
mirī āñkheñ
bhaTaktī haiñ ḳhalāoñ meñ
mirā ehsās yuuñ bedār hotā hai
ki jaise
ek muddat par
mirī ye āñkheñ jaagī hoñ
maiñ hasrat se daraḳhtoñ ke ghane pattoñ kā
jab bhī shor suntā huuñ
to aksar sochtā huuñ ye
mirī duniyā kī har shai ko
ḳhudā ne quvvat-e-goyā.ī baḳhshī hai
magar maiñ kis liye ḳhāmosh rahtā huuñ
mire muñh meñ
zabāñ jaisī koī shai hī nahīñ hai kyā
mahakti wadiyon mein
jab bhi jhingar shor karte hain
hawaen jab bhi Takraati hain in buDhe daraKHton se
main in ki aahaTon par chaunk paDta hun
meri aankhen
bhaTakti hain KHalaon mein
mera ehsas yun bedar hota hai
ki jaise
ek muddat par
meri ye aankhen jagi hon
main hasrat se daraKHton ke ghane patton ka
jab bhi shor sunta hun
to aksar sochta hun ye
meri duniya ki har shai ko
KHuda ne quwwat-e-goyai baKHshi hai
magar main kis liye KHamosh rahta hun
mere munh mein
zaban jaisi koi shai hi nahin hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.