be-zamiri
zamīñ ghūmī
havā badlī
chalo mausam badaltā hai
'salīm' ab tum pahāḌoñ se utar aao
vo dekho
chiyūñTiyoñ ke par nikal aa.e
kaise uḌtī phir rahī haiñ
aaj shān-e-be-niyāzī se
ki jaise mutma.in haiñ
makḌiyoñ kī sarfarāzī se
'salīm' ab tum pahāḌoñ se utar aao
tumhārī duur kī āvāz kaise guuñj ban kar
palaT aa.ī hai
jaise bastiyoñ ke
sabhī ghar hue haiñ
koī hathiyār bhī sālim nahīñ
nukīle daañt
kāñTe
Dañk
nāḳhun
hifāzat ke sabhī sāmān jaise chhin ga.e haiñ
tabhī to zālimoñ se
chand roza āfiyat kī bhiik pā kar
ḳhudā kī god meñ be-fikr sote haiñ
samajhte haiñ
ki mazlūmī kā ye bahrūp hī
fiqara-e-qanā.at kā badal hai
koī patthar uThā.e khīñch maare
dikhāve ke liye patthar uThā kar chuum leñge
ye kis duniyā meñ baste haiñ
ye kis kā paas rakhte haiñ
ḳhud apnī maut kī nazzārgī kā zaḳhm de kar
darindoñ kī nigāhoñ se
ulūhī raushnī kī aas rakhte haiñ
'salīm' ab tum pahāḌoñ se utar aao
tumhāre raaz tum hī jānte ho
sab kuchh jhuuT hai ik Dhoñg hai
ham meñ koī
ayyūb hai budh hai
husain-ibn-e-alī aur na iisā hai
bas itnā hai zamīr apnā kabhī kā bik chukā hai
añdhere kī panah-gāhoñ meñ
sehr-e-sāmrī se
aaj sab mab.hūt haiñ
haath paañv zehn sab maflūj haiñ
sone kā bachhḌā boltā hai
zamin ghumi
hawa badli
chalo mausam badalta hai
'salim' ab tum pahaDon se utar aao
wo dekho
chiyunTiyon ke par nikal aae
kaise uDti phir rahi hain
aaj shan-e-be-niyazi se
ki jaise mutmain hain
makDiyon ki sarfaraazi se
'salim' ab tum pahaDon se utar aao
tumhaari dur ki aawaz kaise gunj ban kar
palaT aai hai
jaise bastiyon ke
sabhi ghar hue hain
koi hathiyar bhi salim nahin
nukile dant
kanTe
Dank
naKHun
hifazat ke sabhi saman jaise chhin gae hain
tabhi to zalimon se
chand roza aafiyat ki bhik pa kar
KHuda ki god mein be-fikr sote hain
samajhte hain
ki mazlumi ka ye bahrup hi
fiqara-e-qanaat ka badal hai
koi patthar uThae khinch mare
dikhawe ke liye patthar uTha kar chum lenge
ye kis duniya mein baste hain
ye kis ka pas rakhte hain
KHud apni maut ki nazzargi ka zaKHm de kar
darindon ki nigahon se
uluhi raushni ki aas rakhte hain
'salim' ab tum pahaDon se utar aao
tumhaare raaz tum hi jaante ho
sab kuchh jhuT hai ek Dhong hai
hum mein koi
ayyub hai budh hai
husain-ibn-e-ali aur na isa hai
bas itna hai zamir apna kabhi ka bik chuka hai
andhere ki panah-gahon mein
sehr-e-samri se
aaj sab mabhut hain
hath panw zehn sab mafluj hain
sone ka bachhDa bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.