bebasi
ek be-kaif shaam ke bas meñ
reñgte saa.e ūñghtī rāheñ
chand sahme hue chahchahe aur maiñ
zindagī rañg-o-bū se begāna
sar-nigūñ dil-girafta aur udaas
aah is ke qahqahe aur maiñ
chāhtā huuñ guzar sakūñ ik baar
ārzūoñ ke chīstānoñ se
hoñ jahāñ lākhoñ chahchahe aur maiñ
har-nafas meñ ho naġhma-e-nāhīd
ḳhāk-e-pā ho merī bahār-ba-dosh
ye samāñ jāvedāñ rahe aur maiñ
dil-e-nākām kī tan-āsānī
ḳhanda-zan hai mire irādoñ par
varna dariyā-e-ġham bahe aur maiñ
jaane yūñhī raheñge ab kab tak
reñgte saa.e ūñghtī rāheñ
chand sahme hue chahchahe aur maiñ
ek be-kaif sham ke bas mein
rengte sae unghti rahen
chand sahme hue chahchahe aur main
zindagi rang-o-bu se begana
sar-nigun dil-girafta aur udas
aah is ke qahqahe aur main
chahta hun guzar sakun ek bar
aarzuon ke chistanon se
hon jahan lakhon chahchahe aur main
har-nafas mein ho naghma-e-nahid
KHak-e-pa ho meri bahaar-ba-dosh
ye saman jawedan rahe aur main
dil-e-nakaam ki tan-asani
KHanda-zan hai mere iradon par
warna dariya-e-gham bahe aur main
jaane yunhi rahenge ab kab tak
rengte sae unghti rahen
chand sahme hue chahchahe aur main
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 246)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.