bebasi
ye bhaTaktī huī rūheñ ye nasheb aur farāz
terī mahfil meñ farozāñ na huī sham.a-e-niyāz
tujh ko taklīf-e-samā.at rahī merī āvāz
āñsūoñ se na huī sard tirī ātish-e-nāz
mehr-o-ulfat ke tarāne rahe ḳhvābīda-e-nāz
ishq bechāra samajhtā hai jise sub.h-e-chaman
paikar-e-sub.h meñ ik raat hai vīrāne kī
gardish-e-rang se taz.īn-e-nazar kyā hotī
haañ mirī raah tirī rāhguzar kyā hotī
tujh ko bīmār-e-mohabbat kī ḳhabar kyā hotī
hijr kī raat ham-āġhosh-e-sahar kyā hotī
jis ko maiñ soz-e-haqīqat kā nishāñ kahtā thā
muhr thī vo kisī tārīk nihāñ-ḳhāne kī
aaj tak mil na sakī bār-e-tamannā se najāt
aaj tak tishna-e-ta.abīr rahā ḳhvāb-e-hayāt
kaash hotā na mire zauq-e-farāvāñ meñ sabāt
ye masā.ib kā julūs aur ye āfāt kī raat
ye aqīdoñ kā talātum ye añdhere kā ḳharosh
maiñ nahīñ laash hai goyā kisī parvāne kī
ek ik jumbish-e-lab āh-o-fuġhāñ kā paiġhām
ye sarāboñ ke pujārī ye ġhulāmoñ ke ġhulām
majlis-e-jaur-o-jafā kārgah-e-dāna-o-dām
haa.e ye terī ḳhudā.ī kā jahāñ-soz nizām
haiñ yahāñ kitne ujāloñ pe dhuñdalkoñ ke ġhilāf
dahr hai yā koī tasvīr siyah-ḳhāne kī
ab nahīñ bā.is-e-taskīñ tirī āyāt-e-jamīl
sāl-hā-sāl se insān kī fitrat hai aliil
TimTimātī hī rahegī mire dil kī qindīl
ye siyāhī hai ki baḌhtī huī zulmat kī dalīl
zulmat-e-yās hai taarī na kar ab sa.ī-e-fuzūl
mere ā.īna-e-kirdār ko chamkāne kī
ye bhaTakti hui ruhen ye nasheb aur faraaz
teri mahfil mein farozan na hui shama-e-niyaz
tujh ko taklif-e-samaat rahi meri aawaz
aansuon se na hui sard teri aatish-e-naz
mehr-o-ulfat ke tarane rahe KHwabida-e-naz
ishq bechaara samajhta hai jise subh-e-chaman
paikar-e-subh mein ek raat hai virane ki
gardish-e-rang se tazin-e-nazar kya hoti
han meri rah teri rahguzar kya hoti
tujh ko bimar-e-mohabbat ki KHabar kya hoti
hijr ki raat ham-aghosh-e-sahar kya hoti
jis ko main soz-e-haqiqat ka nishan kahta tha
muhr thi wo kisi tarik nihan-KHane ki
aaj tak mil na saki bar-e-tamanna se najat
aaj tak tishna-e-tabir raha KHwab-e-hayat
kash hota na mere zauq-e-farawan mein sabaat
ye masaib ka julus aur ye aafat ki raat
ye aqidon ka talatum ye andhere ka KHarosh
main nahin lash hai goya kisi parwane ki
ek ek jumbish-e-lab aah-o-fughan ka paigham
ye sarabon ke pujari ye ghulamon ke ghulam
majlis-e-jaur-o-jafa kargah-e-dana-o-dam
hae ye teri KHudai ka jahan-soz nizam
hain yahan kitne ujalon pe dhundalkon ke ghilaf
dahr hai ya koi taswir siyah-KHane ki
ab nahin bais-e-taskin teri aayat-e-jamil
sal-ha-sal se insan ki fitrat hai alil
TimTimati hi rahegi mere dil ki qindil
ye siyahi hai ki baDhti hui zulmat ki dalil
zulmat-e-yas hai tari na kar ab sai-e-fuzul
mere aaina-e-kirdar ko chamkane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.