behis
ḳhalāoñ kī sīḌhiyāñ chaḌh kar
āsmānoñ meñ tum
zindagī talāshte ho
chāñd par ghar banāne par tule ho
kahīñ oxygen
kahīñ paanī DhūñDhte nazar aa rahe ho
facebōk par ābhāsī zindagī se
tumhārā man nahīñ bharā
ye duniyā tum ko pasand nahīñ aa.ī
ab tum metaverse meñ jaane vaale ho
tum sachchā.ī se muñh pher rahe ho
tum ne registānoñ meñ
sudūr gaañv meñ
ek muTThī anaaj kī ḳhātir
kabhī eḌiyāñ ragaḌ kar
bachchoñ ko marte nahīñ dekhā hai
dekhā hai tum roz dekhte ho
par vo nazāre
tumhāre cameroñ aur photography kī
zīnat bante haiñ
tum behis ho chuke ho
tumhāre andar ka insān
bilkul mar chukā hai
KHalaon ki siDhiyan chaDh kar
aasmanon mein tum
zindagi talashte ho
chand par ghar banane par tule ho
kahin oxygen
kahin pani DhunDhte nazar aa rahe ho
facebook par aabhasi zindagi se
tumhaara man nahin bhara
ye duniya tum ko pasand nahin aai
ab tum metawerse mein jaane wale ho
tum sachchai se munh pher rahe ho
tum ne registanon mein
sudur ganw mein
ek muTThi anaj ki KHatir
kabhi eDiyan ragaD kar
bachchon ko marte nahin dekha hai
dekha hai tum roz dekhte ho
par wo nazare
tumhaare cameron aur photography ki
zinat bante hain
tum behis ho chuke ho
tumhaare andar ka insan
bilkul mar chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.