Belladonna!
usī jagah se dhundlāyā hai har ā.īna
jahāñ-jahāñ par aks ThiThak kar Thahar gayā hai
ek darāḌ sī ug aa.ī hai
us ke pīchhe phailtā sūraj
sahm ke shabnam kī narmī meñ rasta DhūñDne nikal paḌā hai
palkoñ par se qatra qatra bahtā sāgar
khiñchte khiñchte puure falak par phail gayā hai
aur simaT kar ka.ī lakīreñ bah niklī haiñ
aise jaise shahr kī galiyāñ
rassī ke bal khāte TukḌe
ek aziim masāfat ke sailāb meñ pal pal Duub rahe haiñ
dast-e-falak se kaT kar girte sab ḳhvāboñ kā
aks rukā hai
ā.īne meñ aadhe so.e so.e sitāre
niiñd ke gahre gaḌhe meñ utre jaate haiñ
jo pathrā.ī aañkh meñ jam kar bhī paanī se bharā huā hai
usi jagah se dhundlaya hai har aaina
jahan-jahan par aks ThiThak kar Thahar gaya hai
ek daraD si ug aai hai
us ke pichhe phailta suraj
sahm ke shabnam ki narmi mein rasta DhunDne nikal paDa hai
palkon par se qatra qatra bahta sagar
khinchte khinchte pure falak par phail gaya hai
aur simaT kar kai lakiren bah nikli hain
aise jaise shahr ki galiyan
rassi ke bal khate TukDe
ek azim masafat ke sailab mein pal pal Dub rahe hain
dast-e-falak se kaT kar girte sab KHwabon ka
aks ruka hai
aaine mein aadhe soe soe sitare
nind ke gahre gaDhe mein utre jate hain
jo pathrai aankh mein jam kar bhi pani se bhara hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.