aaKHiri mulaqat
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manā.eñ ham!
aatī nahīñ kahīñ se dil-e-zinda kī sadā
suune paḌe haiñ kūcha o bāzār ishq ke
hai sham-e-anjuman kā nayā husn jāñ-gudāz
shāyad nahīñ rahe vo patiñgoñ ke valvale
taaza na rah sakeñgī rivāyāt-e-dasht-o-dar
vo fitna-sar ga.e jinheñ kāñTe aziiz the
ab kuchh nahīñ to niiñd se āñkheñ jalā.eñ ham
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manā.eñ ham!
sochā na thā ki aa.egā ye din bhī phir kabhī
ik baar phir mile haiñ, zarā muskurā to leñ!
kyā jaane ab na ulfat-e-derīna yaad aa.e
is husn-e-iḳhtiyār pe āñkheñ jhukā to leñ
barsā laboñ se phuul tirī umar ho darāz
sambhle hue to haiñ pa zarā Dagmagā to leñ
aur apnā apnā ahd-e-vafā bhuul jaa.eñ ham
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manā.eñ ham!
barsoñ kī baat hai ki mire jī meñ aa.ī thī
maiñ sochtā thā tujh se kahūñ, chhoḌ kyā kahūñ
ab kaun un shikasta mazāroñ kī baat laa.e
maazī pe apne haal ko tarjīh kyuuñ na duuñ
mātam ḳhizāñ kā ho ki bahāroñ kaa, ek hai
shāyad na phir mile tirī āñkhoñ kā ye fusūñ
jo sham.a-e-intizār jalī thī bujhā.eñ ham
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manā.eñ ham!
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manaen ham!
aati nahin kahin se dil-e-zinda ki sada
sune paDe hain kucha o bazar ishq ke
hai sham-e-anjuman ka naya husn jaan-gudaz
shayad nahin rahe wo patingon ke walwale
taza na rah sakengi riwayat-e-dasht-o-dar
wo fitna-sar gae jinhen kanTe aziz the
ab kuchh nahin to nind se aankhen jalaen hum
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manaen ham!
socha na tha ki aaega ye din bhi phir kabhi
ek bar phir mile hain, zara muskura to len!
kya jaane ab na ulfat-e-derina yaad aae
is husn-e-iKHtiyar pe aankhen jhuka to len
barsa labon se phul teri umar ho daraaz
sambhle hue to hain pa zara Dagmaga to len
aur apna apna ahd-e-wafa bhul jaen hum
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manaen ham!
barson ki baat hai ki mere ji mein aai thi
main sochta tha tujh se kahun, chhoD kya kahun
ab kaun un shikasta mazaron ki baat lae
mazi pe apne haal ko tarjih kyun na dun
matam KHizan ka ho ki bahaaron ka, ek hai
shayad na phir mile teri aankhon ka ye fusun
jo shama-e-intizar jali thi bujhaen hum
aao ki jashn-e-marg-e-mohabbat manaen ham!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.