bewa ki jawani
bechārī ke ārām kī sūrat hī kahāñ hai
beva kī javānī bhī ajab āfat-e-jāñ hai
mumkin hai ki piirī meñ sukūñ pā sake varna
jab tak vo javāñ hai ġham-e-shauhar bhī javāñ hai
mamtā se hai majbūr ki aulād kī ḳhātir
jiitī hai magar jiinā ba-har-rañg garāñ hai
ḳhūñ-gashtagī-e-dil kī davā ho nahīñ saktī
kyā ḳhaak thame ḳhuuñ ki jo āñkhoñ se ravāñ hai
be-laus mohabbat kā sila dā.imī furqat
ai sāhab-e-insāf ye insāf kahāñ hai
dil TuuT to saktā hai magar juḌ nahīñ saktā
ab ye bhī ajab silsila shīsha-garāñ hai
fariyād kare bhī to kare kis se ki āḳhir
fariyād kī qīmat na yahāñ hai na vahāñ hai
ye malgajī chādar ye labāda shikan-ālūd
allāh na kare tū kahīñ beva to nahīñ hai
bhar aa.ī huī āñkhoñ meñ Thahre hue aañsū
ye nīchī nazar vājib-e-sajda to nahīñ hai
is dard-e-mujassam ko bhī to ghuur rahā hai
sho.ala kahīñ dozaḳh kā irāda to nahīñ hai
manzil kā nishāñ kho ga.e gum-karda-rahī se
ye rāsta firdaus kā jaada to nahīñ hai
bechaari ke aaram ki surat hi kahan hai
bewa ki jawani bhi ajab aafat-e-jaan hai
mumkin hai ki piri mein sukun pa sake warna
jab tak wo jawan hai gham-e-shauhar bhi jawan hai
mamta se hai majbur ki aulad ki KHatir
jiti hai magar jina ba-har-rang garan hai
KHun-gashtagi-e-dil ki dawa ho nahin sakti
kya KHak thame KHun ki jo aankhon se rawan hai
be-laus mohabbat ka sila daimi furqat
ai sahab-e-insaf ye insaf kahan hai
dil TuT to sakta hai magar juD nahin sakta
ab ye bhi ajab silsila shisha-garan hai
fariyaad kare bhi to kare kis se ki aaKHir
fariyaad ki qimat na yahan hai na wahan hai
ye malgaji chadar ye labaada shikan-alud
allah na kare tu kahin bewa to nahin hai
bhar aai hui aankhon mein Thahre hue aansu
ye nichi nazar wajib-e-sajda to nahin hai
is dard-e-mujassam ko bhi to ghur raha hai
shoala kahin dozaKH ka irada to nahin hai
manzil ka nishan kho gae gum-karda-rahi se
ye rasta firdaus ka jada to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.