bhaarat ki phulwari
ham bhārat kī phulvārī ke rañg birañge phuul
ik duuje ko kāñTā samjheñ ye hai apnī bhuul
ek hī dhartī se ham sab ne janm liyā hai sāthī
rañg-o-rūp isī dhartī se ham ne liyā hai sāthī
ek havā meñ saañs haiñ lete ek fazā meñ jiite haiñ
gañgā aur jamunā kā paanī ham sab mil kar piite haiñ
rañg-o-rūp alag alag hai phir bhī ek hai jīvan
alag alag hai apnī kyārī phir bhī ek hai jīvan
bhārat des kī phulvārī ko mil kar ḳhuub sajā.eñ
saare jag meñ pyaar kī ḳhushbū ham bachche phailā.eñ
hum bhaarat ki phulwari ke rang birange phul
ek duje ko kanTa samjhen ye hai apni bhul
ek hi dharti se hum sab ne janm liya hai sathi
rang-o-rup isi dharti se hum ne liya hai sathi
ek hawa mein sans hain lete ek faza mein jite hain
ganga aur jamuna ka pani hum sab mil kar pite hain
rang-o-rup alag alag hai phir bhi ek hai jiwan
alag alag hai apni kyari phir bhi ek hai jiwan
bhaarat des ki phulwari ko mil kar KHub sajaen
sare jag mein pyar ki KHushbu hum bachche phailaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.